Funny Skits In Urdu Biography
Source(Google.com.pk)Stock exchange yani wo adara jahan kampanioon kay shares ki khareed-o farokht ki jati hai. Wahan kam karne wala broker aik dafa bimar ho gia. Hospital main nurse bar bar thermometer se bukhar ka temperature le rahi thi, kabhi aik so, kabhi aik so aik, kabhi aik so do degree , kabhi aik so teen… aur broker neem behoshi ki halat main leta hoya tha.
Is ka bokhar(fever) aik moqa per kafi ziada ho gia to nurse ne tashweesh main doctor ko unchi aawaz main pokar ker kaha doctor aik so char ---- broker lety lety zor se chillaya foran bach do.
Teen choroon ne mil ker aik jagha chori ki. Paise apne thikane per le ker aaye to aik dosre se bole pahle paise gin lety hain phir aaram karte hain. In main se aik chor ne ye kaha.
Bhai mughe to neend aarahi hai main to sota hoon, lakin tum log be imaani na karna kiun keh mujhe subha ka akhbar parhr ker bhi chori ki raqam ka pata lag jayega k hum ne ketne raqam churaee hai.
Padri nay bachay say poocha. Betay daak khana kahan hai?
Bachay nay isharay say bata dia.
Padri buhat khoosh hua aur bola. Shabash betay! Kal tum girja ghar aana mein tumhein is kay silay mein jannat ka rastah bataon ga.
Bacha bola: Father! Jab app ko dak khanay ka rastah nahi maaloom to aap mujhay jannat ka rastah kia batayein gay.
Aik dost doosray say yar tum apnay doston ko har khushi kay moqa par kabootron ka jora kiun detay ho.
Doosra dost: is liye keh woh doosray din meray pas wapis aajatay hain.
Do pagal aik train mein safar kar rahay the pehlay pagal nay doosray pagal say poocha.
Pehla pagal: kia aap lahor jayeingay
Doosra pagal nahi mein Lahore jaonga.
Pehla pagal acha mein samjha aap Lahore jayein gay.
Mastar (Fareed say): Class mein kon shor kar raha tha?
Fareed: Janab mujhay nahi maaloom mein to apni baton mein laga hua tha.
Mutahin Saheb aik lamhey kay liye kamra imtehan se baher gaye wapis aaye to dekha keh imtahan dene waley chand bachey aik doosrey kay sath baith kar aapus main batein karrahey hain. Mutahin nay foran qareeb aakar poocha yeh kia ho raha hai. Aapni aapni jagha se kiun uth kar yahan aagaye ho? Percha aapas main batain ker ke kiun ker rahe ho.
Bachon mein se aik ne jawab dia hamarey sir ne kaha tha kay har kam aapas mein mil jul kar karna chahiye.
Aik kanjus shaks ki murghi chori hoi is ne faisla kia kay das din tak roti nahi khaye ga takeh mughi ka noksan poora ho jaye do din khana khanay se wo bohat dubla ho giya. Aik din wo shahar jaraha tha rastey mein is sa ziada dubla aadmi mila kanjus is se kahne laga bhayi meri to murghi chori hogayi hai magar yun lagta hai jaisay tumhari bakri khogayi hai.
Aik burhya tangay kay nichay aagayi to sipahi nay tangay walay ko pakr kar poocha. Tum nay burhya ko takkar kiun mari hai?
Tangay wala khamosh khara raha. Burhya kehnay lagi: ab kiun nahi boltay? Pehlay to bara shor macha raha rahay the keh bach mayi bach mayi ….. ab bol.
Aik restaurant mein gahak nay shikayat ki keh mein gosht ka yeh parcha mosalsal 40 minute say katnay ki koshish kar raha hon magar nakam hon.
Aap pareshan mat hon! Behray nay itminan say jawab di restaurant aik bajay tak khula rahe ga.
Yar pareshan kiun ho? Hostel mein rehnay walay aik larkay nay doosray say poocha.
Woh bola kia bataon yar! Ghar khat likha tha keh table lamp khareedna hai paisay bhej dein lekin inhon nay table lamp hi bhej dia hai.
Gayon mein aik shakhs ka inteqaal ho gia aik saheb tazyat kay liye in kay betay kay pas gaye aur poocha marhoom ko kia bimari thi.
Betay nay jawab mein kaha burhapa khood aik bimari hai.
Woh saheb bolay: Waqai hamaray mohallay mein bhi teen char bachay isi bimari mein maray hain.
Aik hotal kay bahir board laga tha keh khanay khoob kaiye bill aap kay potay ada karein gay aik shakhs nay khoob pait bhar kar khana khaya thori der baad wetter bil lay kar aagia who shakhs hairan hua keh yeh bil kaisa hai? Wetter nay kaha yeh is khany ka bill hai jo aap kay DADA nay khaya tha
Aik gappo: agar hadse main aik kan kat jaye to kia hoga?
Doosra gappo: main soon nahi sakoonga.
Pahla gappo: aur agar donoon kan kat jaye to?
Doosra : to main dakh nahi sakoonga.
Pahla: kiun wo kaise?
Doosra: kiun keh main phir ainak kaise lagaunga?
Aik dost (dosre dost se): yar main bara fikar mand hoon, mari beti ka qad nahi barhta, kuch alaj batao.
Dost: bara acha tareeqa batata hoon tum apni beti ka naam menhgayi rakh lo phir dekhna is ka qad kitni rafter se barhta hai.
Aik mahir nafsiat ko aik taqreeb main taqreer karne ke liye bolaya gia. Inhoon ne apni taqreer main bewaquf saksh ki kuch nishan'yan batayeen aur phir ye kaha ab aap logon main se jo shaksh apne aap ko bewaquf samaghta ho wo khara ho jaye. Lakin majma main se koyi bhi khara nahi hoya. Ye dakh ker chand lamhe towaqqaf ke bad aik shaksh khara ho gia.
Mahir nafsiat ne poocha: han bhayi kia tum is ley khare hoye ho kay apne aap ko bewaquf samaghte ho? Is shaksh ne jabab dia: ''ji nahi dar-asal aap akely khare ache nahi lag rahe the''.Aik aurat ne apni saheli se pucha “buhat arse se tumhare shohar nazar nahi aarahe, kia baat hai, kia vo bimaar hain?”
Saheli Boli “kuch arse pehle vo bimaar the, main unhain Doctor key paas le gayi, Doctor ne unhain aaram karne ka mashwarah dia aur kaha keh jab tak mein na kahon, bistar se na uthna, iss key baad doctor ka inteqaal ho gia.”
Aik saheb apne dost key ghar rahne gaye, dost ka aik hi bacha tha jin se saheb har waqt batain karte rahte the, bacha in key har waqt bolne se be had tang tha, aik din saheb ne bache se kaha. “Mian! Agar mein kahon keh abhi raat ho rahi hai magar din ka waqt ho to tum kia karo gay?”
Bache ne munh banate huye jawab dia. “ Abbu se kahun ga keh aap ko pagal khane le jayain.”
Aik kanjus shakhsh ne ghar mein dakhil ho kar apni begam ko zordar aawaz dekar kaha
.Begam : aaj to hum khana bahir khayenge.
Begum ne khushi khushi kaha bas mein panch minute mein kapre badal kar ayi.
Kanjus: arey kapre badalne ki kia zarurat hai mein to keh raha tha keh aaj sehan mein beth kar khana kha lete hain.
Aik saheb apni biwi ke sath kahin ja rahe the raaste mein in ka aik dost mila jis ke hath mein hathkari lagi huye thi do police wale is ke dayain bayain chal rahe the woh Saheb dorte huye is ke qareeb gaye aur bole.
Are yeh kia hua?
Mein ne apni biwi ko qatal kar dia aur ab mujhe 6 hafte ke liye jail bheja jaraha hai.
"Biwi ke qatal karne par sirf 6 hafte ki jail" wo saheb bar baraye phir biwi ko pukara " idhar aao mein barson se aik baat par ghor kar raha hon mein sonchta hon ise aaj anjaam de hi dalun.
Inhon ne yeh keh kar police man se banduq chini aur biwi ko goli mardi, in ke dost ne baat puri karte huye kaha.
Mein 6 hafte mein rahon ga phir mujhe phansi ki saza ho jaye gi.
Aik shaksh jis ka bazu kata hua tha woh bara hi pareshan rehta tha. aik din is ne apni is pareshani ko khatam karne ke liye Minar-e-Pakistan se khud kashi karne ka irada kia. jab woh minar Pakistan ke uper char gia, to niche kia dekhta hai keh aik shaksh jis ke donon bazu nahi the aru woh dance kar raha tha.
woh bara hairan hua aur sonchne laga keh mera aik bazu nahi hai aur mein itna pareshan hon lekin is ke dono bazu nahi hain aur yeh dance kar raha hai. woh niche aaye aur pucha keh mera to aik bazu nahi hai aur mein pareshan hon, tumhara donon bazu nahi hain aur tum dance kar rahe ho, is ne kaha mein dance kab kar raha hon mujhe to kharish ho rahi hai.
Dad aaj hamare college mein function horaha hai mujhe aap ki car ki chabi chahiye".
"Beta tumhari motor cycle ko kia hua?"
"Nahi Dad mein jab 8 Lack ki car mein college jayon ga to mere doston par rub pare ga."
"Walid( pocket mein hath dalte huye) 10 rupe nikal kar deta hai.
"Dad yeh kia hai?"
"Tum hi ne kaha tha keh jab tum 8 Lack ki mehngi gari mein jao gey to doston par rub pare ga. to beta yeh hain das rupe. Tum 48 Lack ki bas mein chale jaao."
aik shaksh kisi Park se guzra to dekha keh aik ajeeb hulye ka malik shaks ondha para yeh gana gunguna raha tha " Mere dil ki hai aawaz keh bichra yar mile ga."
Thori der baad wahi shaksh lota to dekha keh wahi shaksh sidha leit kar yeh ga raha tha.
" Akele na jana hamein chor kar tum."
Woh shaksh is ke qareeb gia aur is harkat ki wajah puchi keh pehle ondhe leit kar aur phir sidhe leit kar yeh gana kiun ga rahe go?
Jawab mila " yeh record ki dusri side hai bhayi."
Coach (Shoib Akhtar se) “ dolat aur mehnat mein kia farq hai?”
Shoib Akhtar- “ jo raqam dusron se qarz li jaye ise dolat kehte hain aur is ki wapsi key liye jo larayi jhagra kia jaye use mehnut kehte hain.”
Pehla Player: “Mere Abbu aik darya mein chalang lagate hain aur dusre darya mein se nikal aate hain.”
No comments:
Post a Comment